Featured Post

Rona padta hai kabhi muskurane ke liye, Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye

Image Source - Google Images

Rona padta hai kabhi muskurane ke liye…
        Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye….
( रोना पड़ता है कभी मुस्कुराने के लिए…
खोना पड़ता है कुछ, कुछ पाने के लिए…. )
Dil bikhar jate hai jab kisi  ka dil todo to…
Dard bhulana padta hai, ishq pane ke liye….
( दिल बिखर जाते है जब किसी का दिल तोड़ो तो …
दर्द भुलाना पड़ता है, इश्क पाने के लिए …. )
Yun to hai aasan muskuraht lana chehre par…
Aanshu dete hai inpar pehra par….
( यूँ तो है आसान मुस्कुराहट लाना चेहरे पर …
आंशु देते है इनपर पहरा पर …)
jindgi nahi rukti kisi ke aane ya jane se…
Aanshu bhi tham sakte hai aapke muskurane se….
( जिन्दगी नहीं रूकती किसी के आने या जाने से …
आंशु भी थम सकते है आपके मुस्कुराने से ….)
Rona padta hai kabhi muskurane ke liye…
Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye….
( रोना पड़ता है कभी मुस्कुराने के लिए…
खोना पड़ता है कुछ, कुछ पाने के लिए…. )
Ke raste bahut hai manjil ko pane ke….
bas chalne ki deri hai,utha kadam usko paane ke…
( के रास्ते बहुत है मंजिल को पाने के …
बस चलने की देरी है, उठा कदम उसको पाने के ….)
Thak jaye to tu ruk kar aaram kar…
Par chalna kabhi na tu band kar….
( थक जाये तो तू रुक कर आराम कर ….
पर चलना कभी न तू बंद कर ….)
kosis kar, kosis par teeki hai jeet teri …
milega humsafar bhi tujhe jeet pane par….
( कोसिस कर, कोसिस पर टिकी है जीत तेरी …
मिलेगा हमसफ़र भी तुझे जीत पाने पर ….)
Rona padta hai kabhi muskurane ke liye…
Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye….
( रोना पड़ता है कभी मुस्कुराने के लिए…
खोना पड़ता है कुछ, कुछ पाने के लिए…. )


Written By – Adarsh Beohar

Comments